saare  zaḳhmoñ  ko  zabāñ  mil  ga.ī  ġham  bolte  haiñ
ham  magar  zarf  se  majbūr  haiñ  kam  bolte  haiñ
kis  qadar  toḌ  diyā  hai  use  ḳhāmoshī  ne
koī  bole  vo  samajhtā  hai  ki  ham  bolte  haiñ
kyā  ajab  log  the  guzre  haiñ  baḌī  shaan  ke  saath
rāste  chup  haiñ  magar  naqsh-e-qadam  bolte  haiñ
vaqt  vo  hai  ki  ḳhudā  ḳhair,  ba-nām-e-īmāñ
dair  vāloñ  kī  zabāñ  ahl-e-haram  bolte  haiñ
kahte  haiñ  zarf  kā  saudā  nahīñ  karte  ham  log
kis  qadar  jhuuT  ye  sab  ahl-e-qalam  bolte  haiñ
kahīñ  rahte  haiñ  dar-o-bām  nadāmat  se  ḳhamosh
bikhrī  īñToñ  meñ  kahīñ  jāh-o-hasham  bolte  haiñ
baat  bhī  karte  haiñ  ehsān  jatāne  kī  tarah
kaise  lahje  meñ  ye  ab  ahl-e-karam  bolte  haiñ
kaun  ye  pursish-e-ahvāl  ko  aayā  'tāriq'
lab  haiñ  ḳhāmosh  magar  dīda-e-nam  bolte  haiñ