vo  āte-jāte  idhar  dekhtā  zarā  sā  hai
nahīñ  hai  rabt  magar  rābta  zarā  sā  hai
ye  kūfiyoñ  kī  kahānī  hai  mere  dost  magar
yahāñ  pe  aap  kā  bhī  tazkira  zarā  sā  hai
ab  us  ko  kāTne  meñ  jaane  kitnī  umr  lage
hamāre  darmiyāñ  jo  fāsla  zarā  sā  hai
nigāh  ek  saḌak  hai  aur  us  kī  manzil-e-dil
idhar  se  jaave  to  ye  rāsta  zarā  sā  hai
tujhe  lagā  ki  tū  kar  legā  sabr  mere  baġhair
tū  kar  ke  dekh  hī  le  tajraba  zarā  sā  hai
idhar  'kabīr'  bagūle  havā  ke  tund-o-tez
aur  is  taraf  ye  akelā  diyā  zarā  sā  hai