āb-dar-āb  mire  saath  safar  karte  haiñ
tishna-lab  ḳhvāb  mire  saath  safar  karte  haiñ
ik  siyah-rāt  ta.āqub  meñ  lagī  rahtī  hai
najm-o-mahtāb  mire  saath  safar  karte  haiñ
dasht-e-ehsās  tirī  pyaas  se  maiñ  haar  gayā
varna  sailāb  mire  saath  safar  karte  haiñ
jānte  haiñ  ki  mujhe  niiñd  nahīñ  aatī  hai
phir  bhī  kuchh  ḳhvāb  mire  saath  safar  karte  haiñ
ye  batāte  haiñ  kahāñ  baiThnā  uThnā  hai  kahāñ
mere  ādāb  mire  saath  safar  karte  haiñ
ai  samundar  maiñ  bachā.e  hue  phirtā  huuñ  tujhe
saare  girdāb  mire  saath  safar  karte  haiñ
sach  to  ye  hai  ki  nahīñ  ek  bhī  sachchā  in  meñ
jitne  alqāb  mire  saath  safar  karte  haiñ
ishq  tanhā  hai  mire  ālam-e-vahshat  kā  gavāh
tāq-o-mehrāb  mire  saath  safar  karte  haiñ
kaun  samjhegā  in  ashkoñ  kī  ibārat  'tāriq'
saare  eraab  mire  saath  safar  karte  haiñ