re.āyā  zulm  pe  jab  sar  uThāne  lagtī  hai
to  eqtidār  kī  lau  thartharāne  lagtī  hai
hamesha  hotā  huuñ  koshish  meñ  bhuul  jaane  kī
vo  yaad  aur  bhī  shiddat  se  aane  lagtī  hai
haqīr  kartī  hai  yuuñ  bhī  kabhī  kabhī  duniyā
mire  zamīr  kī  qīmat  lagāne  lagtī  hai
ye  raushnā.ī  jo  phailī  hai  tere  ashkoñ  se
ye  siskiyoñ  kī  sadā.eñ  sunāne  lagtī  hai
ġhurūb  hotā  hai  sūraj  to  mere  siine  se
ye  kaisī  rone  kī  āvāz  aane  lagtī  hai
ye  maslahat  hai  bujhāne  kā  jab  irāda  ho
havā  diye  kī  kamar  thapthapāne  lagtī  hai
mire  darīche  mire  baam  muskurāte  haiñ
vo  jab  galī  se  mirī  aane  jaane  lagtī  hai