ye  aarzū  thī  use  aa.ina  banāte  ham
aur  ā.īne  kī  hifāzat  meñ  TuuT  jaate  ham
tamām  umr  bhaTakte  rahe  ye  kahte  hue
ki  ghar  banāte  sajāte  use  bulāte  ham
har  aadmī  vahāñ  masrūf  qahqahoñ  meñ  thā
ye  āñsuoñ  kī  kahānī  kise  sunāte  ham
bigāḌe  baiThe  the  taqdīr  apne  hāthoñ  se
hatheliyoñ  kī  lakīreñ  kise  dikhāte  ham
ḳhudā  ne  itnā  karam  aur  kar  diyā  hotā
ki  jis  ne  zaḳhm  diye  us  ko  bhuul  jaate  ham
kuchh  is  sabab  se  bhī  ye  zaḳhm  lā-davā  Thahre
har  ek  shaḳhs  kā  ehsāñ  nahīñ  uThāte  ham
tū  apne  ġham  se  hī  ḳhālī  kahāñ  hai  ai  'tāriq'
jo  tere  paas  kabhī  aa  ke  baiTh  jaate  ham