Tariq Qamar

na tum mile the to duniya charagh-pa bhi na thi

Tariq Qamar

Sambhal, Uttar pradesh, India

1975
na tum mile the to duniyā charāġh-pā bhī na thī
ye mehrbāñ to nahīñ thī magar ḳhafā bhī na thī
ajab ġharībī ke aalam meñ mar gayā ik shaḳhs
ki sar pe taaj thā dāman meñ ik duā bhī na thī
na itnā bikhrī thī pahle kitāb-e-hastī bhī
aur itnī tez mire shahr kī havā bhī na thī
ḳhushī to ye hai ki pās-e-adab rakhā ham ne
malāl ye hai ki apnī koī ḳhatā bhī na thī
mirī hayāt kahāñ tak tirī safā.ī duuñ
ki tū ḳharāb nahīñ thī to pārsā bhī na thī
bhalā kiyā ki hameñ zahr de diyā tum ne
alāva is ke hamārī koī davā bhī na thī
badal rahā hai musalsal mizāj duniyā kā
ye bevafā thī magar aisī be-hayā bhī na thī
Top Urdushayar.com