na  tum  mile  the  to  duniyā  charāġh-pā  bhī  na  thī
ye  mehrbāñ  to  nahīñ  thī  magar  ḳhafā  bhī  na  thī
ajab  ġharībī  ke  aalam  meñ  mar  gayā  ik  shaḳhs
ki  sar  pe  taaj  thā  dāman  meñ  ik  duā  bhī  na  thī
na  itnā  bikhrī  thī  pahle  kitāb-e-hastī  bhī
aur  itnī  tez  mire  shahr  kī  havā  bhī  na  thī
ḳhushī  to  ye  hai  ki  pās-e-adab  rakhā  ham  ne
malāl  ye  hai  ki  apnī  koī  ḳhatā  bhī  na  thī
mirī  hayāt  kahāñ  tak  tirī  safā.ī  duuñ
ki  tū  ḳharāb  nahīñ  thī  to  pārsā  bhī  na  thī
bhalā  kiyā  ki  hameñ  zahr  de  diyā  tum  ne
alāva  is  ke  hamārī  koī  davā  bhī  na  thī
badal  rahā  hai  musalsal  mizāj  duniyā  kā
ye  bevafā  thī  magar  aisī  be-hayā  bhī  na  thī