thā  pahlā  safar  us  kī  rifāqat  bhī  na.ī  thī
raste  bhī  kaThin  aur  masāfat  bhī  na.ī  thī
dil  thā  ki  kisī  taur  bhī  qaabū  meñ  nahīñ  thā
rah  rah  ke  dhaḌakne  kī  alāmat  bhī  na.ī  thī
jab  us  ne  kahā  thā  ki  mujhe  ishq  hai  tum  se
āñkhoñ  meñ  jo  aa.ī  thī  vo  hairat  bhī  na.ī  thī
sadiyoñ  ke  ta.alluq  kā  gumāñ  hone  lagā  thā
jab  ki  mirī  us  shaḳhs  se  nisbat  bhī  na.ī  thī
vāqif  bhī  nahīñ  thā  maiñ  kisī  sūd-o-ziyāñ  se
us  ishq  ke  saude  meñ  shirākat  bhī  na.ī  thī
ḳhvāboñ  ke  bikhar  jaane  kā  dhaḌkā  bhī  lagā  thā
be-dārī-e-shab  kī  mujhe  aadat  bhī  na.ī  thī
ta.abīr  kahāñ  DhūñDne  jātīñ  mirī  āñkheñ
un  ko  to  kisī  ḳhvāb  kī  zahmat  bhī  na.ī  thī
dil  vāqif-e-ādāb-e-mohabbat  bhī  nahīñ  thā
duniyā  ke  rivājoñ  se  baġhāvat  bhī  na.ī  thī
phir  maiñ  ki  kisī  nashe  kā  aadī  bhī  nahīñ  thā
aur  mere  liye  vasl  kī  lazzat  bhī  na.ī  thī
yuuñ  kār-e-junūñ  karnā  ḳhirad-mandoñ  meñ  rah  kar
jo  Daalī  thī  tum  ne  vo  rivāyat  bhī  na.ī  thī