ye  furqatoñ  meñ  lamha-e-visāl  kaise  aa  gayā
mohabbatoñ  meñ  phir  nayā  ubaal  kaise  aa  gayā
jise  jahāñ  ke  mashġhaloñ  meñ  apnā  hosh  bhī  na  thā
achānak  aaj  use  mirā  ḳhayāl  kaise  aa  gayā
abhī  talak  to  mere  saare  zaḳhm  the  hare-bhare
yakāyak  un  ko  kār-e-indimāl  kaise  aa  gayā
judā.ī  kā  bas  ek  pal  girāñ  thā  zindagī  pe  jab
to  darmiyān  bahr-e-māh-o-sāl  kaise  aa  gayā
abhī  talak  thiiñ  vaqt  kī  tanābeñ  us  ke  haath  meñ
adam  farāġhatoñ  kā  phir  savāl  kaise  aa  gayā
mire  zarā  se  dard  par  taḌap  thī  jis  kī  dīdanī
use  sitamgarī  kā  ye  kamāl  kaise  aa  gayā
'nadīm'  apnī  chāhatoñ  pe  naaz  thā  tumheñ  bahut
to  phir  tumhāre  ishq  par  zavāl  kaise  aa  gayā