ab  zindagī  ro  ro  ke  guzāreñge  nahīñ  ham
ye  bojh  to  hai  bojh  utāreñge  nahīñ  ham
tum  ḳhud  hī  agar  lauT  ke  aa  jaao  to  behtar
hargiz  tumheñ  is  baar  pukāreñge  nahīñ  ham
ik  ishq  kī  baazī  hī  to  ham  haare  haiñ  us  se
ai  rāh-e-talab  hausla  hāreñge  nahīñ  ham
ye  gesū-e-hastī  ke  sañvarne  kī  ghaḌī  hai
ab  gesū-e-jānāñ  ko  sañvāreñge  nahīñ  ham
DhūñDeñge  har  ik  chiiz  meñ  jiine  kī  umañgeñ
dil  kī  kisī  ḳhvāhish  ko  bhī  māreñge  nahīñ  ham