haal  meñ  jiine  kī  tadbīr  bhī  ho  saktī  hai
zindagī  maazī  kī  tasvīr  bhī  ho  saktī  hai
aas  meñ  us  kī  na  har  kaam  adhūrā  chhoḌo
us  ke  aane  meñ  to  tāḳhīr  bhī  ho  saktī  hai
merā  har  ḳhvāb  to  bas  ḳhvāb  hī  jaisā  niklā
kyā  kisī  ḳhvāb  kī  ta.abīr  bhī  ho  saktī  hai
dil  to  merā  thā  magar  ye  mujhe  ma.alūm  na  thā
ye  kisī  aur  kī  jāgīr  bhī  ho  saktī  hai
zindagī  jalne  lagī  ātish-e-tanhā.ī  meñ
jurm-e-ulfat  kī  ye  ta.azīr  bhī  ho  saktī  hai
dil  ko  barbād  nahīñ  karnā  ki  is  meñ  phir  se
ḳhvāhishoñ  kī  na.ī  ta.amīr  bhī  ho  saktī  hai
thak  gayā  huuñ  maiñ  hikāyāt-e-junūñ  likh  likh  kar
ye  mirī  āḳhirī  tahrīr  bhī  ho  saktī  hai