mohabbat  kā  ye  ruḳh  dekhā  nahīñ  thā
vo  yuuñ  badlegā  ye  sochā  nahīñ  thā
ajab  hai  sah  ke  zaḳhm-e-be-vafā.ī
ye  dil  kahtā  hai  vo  aisā  nahīñ  thā
sabab  koī  to  hai  un  nafratoñ  kā
maiñ  jhūTā  thā  ki  vo  sachchā  nahīñ  thā
na  jaane  kyuuñ  mire  hisse  meñ  aayā
vo  dukh  qismat  meñ  jo  likkhā  nahīñ  thā
bahut  tanhā.iyāñ  thiiñ  is  se  pahle
magar  itnā  bhī  maiñ  tanhā  nahīñ  thā
chalo  kuchh  to  ghuTan  kam  ho  ga.ī  hai
bahut  din  ho  ga.e  royā  nahīñ  thā
kināre  par  khaḌā  vo  kah  rahā  hai
samundar  is  qadar  gahrā  nahīñ  thā
sabhī  kuchh  hai  'nadīm'  ab  paas  mere
bas  ik  vo  shaḳhs  jo  merā  nahīñ  thā