ai  kātib-e-taqdīr  ye  taqdīr  meñ  likh  de
bas  us  kī  mohabbat  mirī  jāgīr  meñ  likh  de
de  aisā  junūñ  jaisā  diyā  qais  ko  tū  ne
mujh  ko  bhī  isī  halqa-e-zanjīr  meñ  likh  de
paane  kā  use  ḳhvāb  jo  dekhā  hai  hamesha
vo  ḳhvāb  hī  bas  ḳhvāb  kī  ta.abīr  meñ  likh  de
dil  aisā  makāñ  hai  jo  agar  TuuT  gayā  to
lag  jā.eñgī  sadiyāñ  na.ī  ta.amīr  meñ  likh  de
milnā  hai  agar  ḳhud  se  to  phir  der  na  karnā
kho  jaane  kā  Dar  hotā  hai  tāḳhīr  meñ  likh  de
sachchā.ī  mirā  jurm  hai  aur  kār-e-vafā  bhī
munsif  hai  to  ye  bhī  mirī  ta.azīr  meñ  likh  de
likh  de  ki  maiñ  'ġhālib'  kā  muqallid  huuñ  ġhazal  meñ
phir  naam  mirā  mo'taqid-e-'mīr'  meñ  likh  de