Farhat Nadeem Humayun

jo tujhe paikar-e-sad-naz-o-ada kahte hain

Farhat Nadeem Humayun

jo tujhe paikar-e-sad-nāz-o-adā kahte haiñ
qadr-dāñ husn ke ye baat bajā kahte haiñ
us ke chehre kī ziyā se hai chamak sūraj kī
us kī bikhrī huī zulfoñ ko ghaTā kahte haiñ
vo jo āñkhoñ se pilā.e to chalo pī leñge
vaise ham piine pilāne ko burā kahte haiñ
surḳh hāthoñ kī haqīqat to hamī jānte haiñ
jo nahīñ jānte vo rañg-e-hinā kahte haiñ
baat achchhī hī vo karte haiñ hamāre haq meñ
jo hamāre liye kahte haiñ bajā kahte haiñ
saḳht pathrīlī zamīñ par bhī khilāte haiñ gulāb
sher ham kahte haiñ aur sab se sivā kahte haiñ
ye rivāyat hai zamāne kī na.ī baat nahīñ
hotī aa.ī hai ki achchhoñ ko burā kahte haiñ
aaj gahvāre meñ baiThe haiñ sabhī ahl-e-adab
is fazā hī ko mohabbat kī fazā kahte haiñ
ham ne kī mashq-e-suḳhan misra-e-'ġhālib' pe 'nadīm'
log is baare meñ ab dekhiye kyā kahte haiñ
Top Urdushayar.com