jo  tujhe  paikar-e-sad-nāz-o-adā  kahte  haiñ
qadr-dāñ  husn  ke  ye  baat  bajā  kahte  haiñ
us  ke  chehre  kī  ziyā  se  hai  chamak  sūraj  kī
us  kī  bikhrī  huī  zulfoñ  ko  ghaTā  kahte  haiñ
vo  jo  āñkhoñ  se  pilā.e  to  chalo  pī  leñge
vaise  ham  piine  pilāne  ko  burā  kahte  haiñ
surḳh  hāthoñ  kī  haqīqat  to  hamī  jānte  haiñ
jo  nahīñ  jānte  vo  rañg-e-hinā  kahte  haiñ
baat  achchhī  hī  vo  karte  haiñ  hamāre  haq  meñ
jo  hamāre  liye  kahte  haiñ  bajā  kahte  haiñ
saḳht  pathrīlī  zamīñ  par  bhī  khilāte  haiñ  gulāb
sher  ham  kahte  haiñ  aur  sab  se  sivā  kahte  haiñ
ye  rivāyat  hai  zamāne  kī  na.ī  baat  nahīñ
hotī  aa.ī  hai  ki  achchhoñ  ko  burā  kahte  haiñ
aaj  gahvāre  meñ  baiThe  haiñ  sabhī  ahl-e-adab
is  fazā  hī  ko  mohabbat  kī  fazā  kahte  haiñ
ham  ne  kī  mashq-e-suḳhan  misra-e-'ġhālib'  pe  'nadīm'
log  is  baare  meñ  ab  dekhiye  kyā  kahte  haiñ