Farhat Nadeem Humayun

na daulat ki talab thi aur na daulat chahiye hai

Farhat Nadeem Humayun

na daulat kī talab thī aur na daulat chāhiye hai
mohabbat chāhiye thī bas mohabbat chāhiye hai
sahā jaatā nahīñ ham se ġham-e-hijr-e-musalsal
zarā sī der ko terī rifāqat chāhiye hai
tirā dīdār ho āñkheñ kisī bhī samt dekheñ
so har chehre meñ ab terī shabāhat chāhiye hai
kiyā hai tū ne jab tark-e-ta.alluq kā irāda
hameñ bhī faisla karne kī mohlat chāhiye hai
ye kyuuñ kahte ho rāh-e-ishq par chalnā hai ham ko
kaho ki zindagī se ab farāġhat chāhiye hai
nahīñ hotī hai rāh-e-ishq meñ āsān manzil
safar meñ bhī to sadiyoñ kī masāfat chāhiye hai
ġham-e-jānāñ ke bhī kuchh der to ham naaz uThā leñ
ġham-e-daurāñ se thoḌe din kī ruḳhsat chāhiye hai
har ik apnī zarūrat ke tahat ham se hai miltā
hameñ bhī ab koī hasb-e-zarūrat chāhiye hai
hai jab se mun.akis chehra badalne kā vo manzar
hamārī ā.ina-āñkhoñ ko hairat chāhiye hai
jo nikleñ ālam-e-vahshat se phir kuchh aur socheñ
ḳhirad se rābte rakhne ko fursat chāhiye hai
Top Urdushayar.com