na  daulat  kī  talab  thī  aur  na  daulat  chāhiye  hai
mohabbat  chāhiye  thī  bas  mohabbat  chāhiye  hai
sahā  jaatā  nahīñ  ham  se  ġham-e-hijr-e-musalsal
zarā  sī  der  ko  terī  rifāqat  chāhiye  hai
tirā  dīdār  ho  āñkheñ  kisī  bhī  samt  dekheñ
so  har  chehre  meñ  ab  terī  shabāhat  chāhiye  hai
kiyā  hai  tū  ne  jab  tark-e-ta.alluq  kā  irāda
hameñ  bhī  faisla  karne  kī  mohlat  chāhiye  hai
ye  kyuuñ  kahte  ho  rāh-e-ishq  par  chalnā  hai  ham  ko
kaho  ki  zindagī  se  ab  farāġhat  chāhiye  hai
nahīñ  hotī  hai  rāh-e-ishq  meñ  āsān  manzil
safar  meñ  bhī  to  sadiyoñ  kī  masāfat  chāhiye  hai
ġham-e-jānāñ  ke  bhī  kuchh  der  to  ham  naaz  uThā  leñ
ġham-e-daurāñ  se  thoḌe  din  kī  ruḳhsat  chāhiye  hai
har  ik  apnī  zarūrat  ke  tahat  ham  se  hai  miltā
hameñ  bhī  ab  koī  hasb-e-zarūrat  chāhiye  hai
hai  jab  se  mun.akis  chehra  badalne  kā  vo  manzar
hamārī  ā.ina-āñkhoñ  ko  hairat  chāhiye  hai
jo  nikleñ  ālam-e-vahshat  se  phir  kuchh  aur  socheñ
ḳhirad  se  rābte  rakhne  ko  fursat  chāhiye  hai