koī  ahd-e-vafā  bhūlā  huā  huuñ
nahīñ  kuchh  yaad  kyā  bhūlā  huā  huuñ
ḳhabar-gīrī  karūñgā  kyā  kisī  kī
maiñ  ḳhud  apnā  patā  bhūlā  huā  huuñ
agar  māñgoñ  to  shāyad  pā  sakūñ  kuchh
magar  harf-e-duā  bhūlā  huā  huuñ
ḳhud  apne  shahr  hī  meñ  huuñ  musāfir
maiñ  ghar  kā  rāsta  bhūlā  huā  huuñ
mujhe  hai  yaad  jo  tujh  se  sunā  thā
ḳhud  apnā  hī  kahā  bhūlā  huā  huuñ
huuñ  zinda  is  liye  furqat  meñ  ab  tak
ki  nashsha  vasl  kā  bhūlā  huā  huuñ
duā.eñ  māñgtā  huuñ  sab  kī  ḳhātir
ḳhud  apnā  mudda.ā  bhūlā  huā  huuñ
ġham-e-duniyā  ġham-e-daurāñ  ġham-e-dil
sabhī  tere  sivā  bhūlā  huā  huuñ
'nadīm'  us  ke  binā  jīvan  ye  merā
jazā  hai  yā  sazā  bhūlā  huā  huuñ