na.e  mizāj  kī  tashkīl  karnā  chāhte  haiñ
ham  apne  aap  ko  tabdīl  karnā  chāhte  haiñ
qubūl  tark-e-ta.alluq  nahīñ  hai  lekin  ham
tumhāre  hukm  kī  ta.amīl  karnā  chāhte  haiñ
ġhamoñ  ke  fiil  na  Dhā  deñ  kahīñ  ye  ka.aba-e-dil
so  ham  duā-e-abābīl  karnā  chāhte  haiñ
hamāre  jalne  se  miltī  hai  raushnī  tum  ko
to  raushan  ab  yahī  qindīl  karnā  chāhte  haiñ
jab  un  kī  koī  bhī  ta.abīr  pā  nahīñ  sakte
havā  meñ  ḳhvāboñ  ko  tahlīl  karnā  chāhte  haiñ
kitāb-e-zīst  meñ  mushkil  hai  bāb-e-ishq  'nadīm'
ham  aise  baab  kī  takmīl  karnā  chāhte  haiñ