Mohammad Amaan Nisar

dosti chah dili mehr-o-mohabbat guzri

Mohammad Amaan Nisar

dostī chaah dilī mehr-o-mohabbat guzrī
sīdhe muñh baat bhī kartā nahīñ rut guzrī
ek misra jo paḌhā vasf-e-qad-e-yār meñ ham
sarv ke sar pe gulistāñ meñ qayāmat guzrī
ham-nashīñ pūchh na kuchh chup hī bhalī hai us se
shab-e-furqat meñ jo kuchh ham pe sa.ūbat guzrī
sub.h ko naam kisī ne jo liyā is kā yahāñ
dil-e-mushtāq pe be-tarah kī hālat guzrī
aañkh ham se jo milātā nahīñ vo ā.īna-rū
ḳhāksāroñ se ye kyā dil meñ kudūrat guzrī
kabhū laḌtā thā kabhū hañs ke lipaT jaatā thā
kyuuñ 'nisār' us se ajab rātoñ kī sohbat guzrī
Top Urdushayar.com