Mohammad Amaan Nisar

karo saman jhule ka ki ab barsat aai hai

Mohammad Amaan Nisar

karo sāmān jhūle ki ab barsāt aa.ī hai

ghaTā umDī hai bijlī ne chamak apnī dikhā.ī hai

agar jhūle mere dil ke jhūle meñ to ai zālim

rag-e-jāñ se tire jhūle ko maiñ rassī banā.ī hai

yahāñ abr-e-siyah meñ aaj tere surḳh joḌe ne

mujhe shaam o shafaq dast-o-garebāñ kar dikhā.ī hai

idhar hai kirmak-e-shab-tāb udhar jugnū gale hai

ye aalam dekh kar ye baat mere meñ aa.ī hai

ba-qaul-e-hazrat-e-'hātim' 'nisār' us vaqt yuuñ kahiye

tirī qudarat ke sadqe kyā tamāshe ḳhudā.ī hai

Top Urdushayar.com