usī  kī  tarah  mujhe  saarā  zamānā  chāhe
vo  mirā  hone  se  ziyāda  mujhe  paanā  chāhe
merī  palkoñ  se  phisal  jaatā  hai  chehra  terā
ye  musāfir  to  koī  aur  Thikānā  chāhe
ek  banphūl  thā  is  shahr  meñ  vo  bhī  na  rahā
koī  ab  kis  ke  liye  lauT  ke  aanā  chāhe
zindagī  hasratoñ  ke  saaz  pe  sahmā-sahmā
vo  tarāna  hai  jise  dil  nahīñ  gaanā  chāhe