dalā.el se ḳhudā tak aql-e-insānī nahīñ jaatī
vo ik aisī haqīqat hai jo pahchānī nahīñ jaatī
ise to raah meñ arbāb-e-himmat chhoḌ dete haiñ
kisī ke saath manzil tak tan-āsānī nahīñ jaatī
kise miltī haiñ vo āñkheñ mohabbat meñ jo rotī haiñ
mubārak haiñ vo aañsū jin kī arzānī nahīñ jaatī
ubhartā hī nahīñ dil Duub kar bahr-e-mohabbat meñ
jab aa jaatī hai is dariyā meñ tuġhyānī nahīñ jaatī
gadā.ī meñ bhī mujh par shān-e-istiġhnā barastī hai
mire sar se havā-e-tāj-e-sultānī nahīñ jaatī
muqīm-e-dil haiñ vo armān jo puure nahīñ hote
ye vo ābād ghar hai jis kī vīrānī nahīñ jaatī
kuchh aisā partav-e-husn-e-azal ne kar diyā raushan
qayāmat tak to ab zarroñ kī tābānī nahīñ jaatī
kuchh aise barguzīda log bhī haiñ jin ke hāthoñ se
chhuḌā kar apnā dāman pāk-dāmanī nahīñ jaatī
hujūm-e-yās meñ bhī zindagī par muskurātā huuñ
musībat meñ bhī merī ḳhanda-peshānī nahīñ jaatī