jalte  jalte  bujh  ga.ī  ik  mom-battī  raat  ko
mar  ga.ī  fāqa-zadā  ma.asūm  bachchī  raat  ko
āñdhiyoñ  se  kyā  bachātī  phuul  ko  kāñToñ  kī  baaḌ
sehn  meñ  bikhrī  huī  thī  pattī  pattī  raat  ko
kitnā  bosīda  durīda  pairahan  hai  zeb-e-tan
vo  jo  charḳha  kāTtī  rahtī  hai  laḌkī  raat  ko
sehn  meñ  ik  shor  sā  har  aañkh  hai  hairat-zada
chūḌiyāñ  sab  toḌ  diiñ  dulhan  ne  pahlī  raat  ko
jab  chalī  ThanDī  havā  bachcha  ThiThur  kar  rah  gayā
maañ  ne  apne  laal  kī  taḳhtī  jalā  dī  raat  ko
vaqt  to  har  ek  dar  par  dastakeñ  detā  rahā
ek  saa.at  ke  liye  jaagī  na  bastī  raat  ko
marġh-zār-e-shā.erī  meñ  gum  rahā  'sabt-e-alī'
so  ga.ī  rah  dekhte  bīmār  biivī  raat  ko