Makhmoor Dehlvi

ruKH har ek tir-e-nazar ka hai mere dil ki taraf

Makhmoor Dehlvi

Delhi, India

1901-1956
ruḳh har ik tīr-e-nazar kā hai mire dil kī taraf
aane vaale aa rahe haiñ apnī manzil kī taraf
Dūbne vaale kī māyūsī pe dil tharrā gayā
kis nigāh-e-yās se dekhā thā sāhil kī taraf
sach hai ik ujḌī huī duniyā ke kyā lail-o-nahār
tum se bhī ab to na dekhā jā.egā dil kī taraf
kis fasurda-ḳhātirī se rāt-bhar jaltī rahī
der tak dekhā kiye ham sham-e-mahfil kī taraf
apnī marzī se nahīñ apne irāde se nahīñ
har musāfir ke qadam uThte haiñ manzil kī taraf
tum ko kyā mālūm kyā bantī hai dil par ishq meñ
aa.ina le kar zarā dekho muqābil kī taraf
ho gayā 'maḳhmūr' rāz-e-zindagī kā inkishāf
mauj aatī hai fanā hone ko sāhil kī taraf
Top Urdushayar.com