ruḳh  har  ik  tīr-e-nazar  kā  hai  mire  dil  kī  taraf
aane  vaale  aa  rahe  haiñ  apnī  manzil  kī  taraf
Dūbne  vaale  kī  māyūsī  pe  dil  tharrā  gayā
kis  nigāh-e-yās  se  dekhā  thā  sāhil  kī  taraf
sach  hai  ik  ujḌī  huī  duniyā  ke  kyā  lail-o-nahār
tum  se  bhī  ab  to  na  dekhā  jā.egā  dil  kī  taraf
kis  fasurda-ḳhātirī  se  rāt-bhar  jaltī  rahī
der  tak  dekhā  kiye  ham  sham-e-mahfil  kī  taraf
apnī  marzī  se  nahīñ  apne  irāde  se  nahīñ
har  musāfir  ke  qadam  uThte  haiñ  manzil  kī  taraf
tum  ko  kyā  mālūm  kyā  bantī  hai  dil  par  ishq  meñ
aa.ina  le  kar  zarā  dekho  muqābil  kī  taraf
ho  gayā  'maḳhmūr'  rāz-e-zindagī  kā  inkishāf
mauj  aatī  hai  fanā  hone  ko  sāhil  kī  taraf