ḳhudā  jab  tak  na  chāhe  aadmī  se  kuchh  nahīñ  hotā
mujhe  ma.alūm  hai  merī  ḳhushī  se  kuchh  nahīñ  hotā
mohabbat  jazba-e-īsār  se  parvān  chaḌhtī  hai
ḳhulūs-e-dil  na  ho  to  dostī  se  kuchh  nahīñ  hotā
vahāñ  terā  karam  terā  bharosa  kaam  aatā  hai
jahāñ  majbūr  ho  kar  aadmī  se  kuchh  nahīñ  hotā
ziyā-e-shams  bhī  maujūd  hai  nūr-e-qamar  bhī  hai
basīrat  hī  na  ho  to  raushnī  se  kuchh  nahīñ  hotā
ġharaz  tere  sivā  har  ek  ko  majbūr  paatā  huuñ
bharosa  jis  pe  kartā  huuñ  usī  se  kuchh  nahīñ  hotā
ḳhud  apne  haal  se  uljhe  hue  haiñ  tere  dīvāne
hañse  jaa.e  zamāne  kī  hañsī  se  kuchh  nahīñ  hotā
mohabbat  bad-gumāñ  ho  jaa.e  to  zinda  nahīñ  rahtī
asar  dil  par  tumhārī  be-ruḳhī  se  kuchh  nahīñ  hotā