husn  kyā  jis  ko  kisī  husn  se  ḳhatra  na  huā
kaun  yūsuf  hadaf-e-kaid-e-zulaiḳhā  na  huā
vo  payambar  bhī  nahīñ  hogā  ḳhudā  shāyad  ho
paak  dāman  to  rahā  shahr  meñ  rusvā  na  huā
the  nayā  chāñd  to  thiiñ  ham  se  umīdeñ  kyā  kyā
qaus  ke  qaus  rahe  dā.era  puurā  na  huā
larzish-e-lab  ko  zabāñ  koī  kumak  de  na  sakī
pūchhne  par  bhī  to  elān-e-tamannā  na  huā
ham  girebān-e-shab-e-tār  TaTolā  hī  kiye
kaaj  tukmoñ  se  sile  the  so  ujālā  na  huā
kyā  na  chāhā  ki  banā  le  mah-e-kan.āñ  ko  ġhulām
ek  buḌhiyā  ne  bhī  afsos  ki  paisa  na  huā
nā-sho.ūrī  meñ  ajab  zo.am  thā  dānā.ī  kā
jab  zarā  aql  mujhe  aa.ī  to  dīvāna  huā
vārisoñ  ko  na  rahā  yaad  ki  virsa  kyā  thā
aur  kafan  bhī  shohdā  kā  abhī  mailā  na  huā
har  tamannā  ne  nikalte  hī  daġhā  dī  kaisī
kuchh  vafādār  vo  armāñ  thā  jo  puurā  na  huā
pyaar  be-qaul-o-qasam  donoñ  taraf  ab  tak  hai
aa  paḌī  us  ko  hayā  ham  se  taqāzā  na  huā
zinda  gaaḌe  hue  bandoñ  ke  ye  sunsān  nagar
aaj  hī  koī  zamāne  kā  masīhā  na  huā
ye  bhī  kahtā  ki  ḳhudā  huuñ  to  jabīñ  jhuk  jaatī
vaisā  insān  koī  aur  to  paidā  na  huā
kunj  tak  aa  ke  mujhe  suniye  ki  bulbul  koī
aa  ke  mahfil  meñ  kabhī  zamzama-pairā  na  huā