bahār  aa.ī  zamāna  huā  ḳharābātī
hamāre  dil  meñ  bhī  ik  lahr  kaash  aa  jaatī
havā  bhī  sard  hai  bhīgī  hai  raat  bhī  lekin
sulag  rahī  hai  kisī  aag  se  mirī  chhātī
mire  paḌos  meñ  ye  zikr  hai  ka.ī  din  se
sadā  jo  aatī  thī  rone  kī  ab  nahīñ  aatī
lagā  ke  siine  se  shādābiyoñ  ko  so  jaatā
mujhe  bahār-e-javānī  meñ  maut  aa  jaatī
bajā  rahā  hai  koī  raat  meñ  sitār  'aḳhtar'
dhaḌak  rahī  hai  mirī  ārzūoñ  kī  chhātī