Akhtar Ansari

suna ke apne aish-e-tam ki rudad ke TukDe

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988

sunā ke apne aish-e-tām rūdād ke TukḌe

uḌā dūñgā kisī din charḳh bedād ke TukḌe

asīrī ko atā kar ke asīrī sharaf ham ne

uḌā Daale ḳhud apnī fitrat-e-āzād ke TukḌe

kahāñ aadmī insān kaisā mā-hasal ye hai

kahīñ ashḳhās ke purze kahīñ afrād ke TukḌe

tabāhī ke mazoñ se bhī ga.e ab vā.e-mahrūmī

sameTūñgā kahāñ tak hasrat-e-barbād ke TukḌe

ye siina talḳh yādoñ ḳhazīna sahī lekin

bahut chubhte haiñ dil meñ ik nukīlī yaad ke TukḌe

tum achchhe sahī merā burā honā bhī hai bar-haq

ki ham sab haiñ kisī majmūa-e-azdād ke TukḌe

hameñ laḳht-e-jigar khāne ko hargiz kam na thā 'aḳhtar'

magar qismat meñ likkhe the jahānābād ke TukḌe

Top Urdushayar.com