Dāltā  adl  kī  jholī  meñ  syāhī  kaise
māñgtā  mujh  se  koī  jhūTī  gavāhī  kaise
kyā  tire  jism  pe  TuuTī  hai  qayāmat  koī
daf.atan  aaj  mirī  ruuh  karāhī  kaise
jab  har  ik  dard  kī  zanjīr  ko  kaT  jaanā  hai
phir  tirā  dard  huā  lā-matanāhī  kaise
kitnā  be-Dhañg  tanāsub  hai  mahāz-e-ġham  par
itne  lashkar  se  laḌe  ek  sipāhī  kaise
jī  rahā  huuñ  maiñ  ġhulāmoñ  kā  havāla  ban  kar
merī  pahchān  bane  masnad-e-shāhī  kaise
kis  havāle  se  thā  mausam  kā  sitam  peḌoñ  par
duur  tak  phail  ga.ī  zard  tabāhī  kaise