maiñ  din  ko  raat  ke  dariyā  meñ  jab  utaar  aayā
mujhe  zamīn  kī  gardish  pe  e'tibār  aayā
maiñ  kaun  kaun  se  hisse  meñ  raushnī  likkhūñ
ki  ab  to  saarā  ilāqa  pas-e-ġhubār  aayā
jo  kar  rahā  thā  barābar  nasīhateñ  mujh  ko
vo  ek  daav  meñ  saarī  hayāt  haar  aayā
dayār-e-ishq  meñ  ḳhairāt  jab  milī  mujh  ko
mire  nasīb  kī  jholī  meñ  intizār  aayā
shab-e-firāq  ke  lamhe  the  itne  tūlānī
maiñ  ek  raat  meñ  sadiyāñ  ka.ī  guzār  aayā
nikal  sakā  na  dukhoñ  ke  hisār  se  bāhar
tamām  ziist  isī  ḳhol  meñ  guzār  aayā
havā  ke  paañv  to  shal  ho  ga.e  the  raste  meñ
ye  kaun  pattoñ  meñ  sargoshiyāñ  ubhār  aayā