ye  kis  ko  jaag  jaag  ke  tāroñ  kī  chhāñv  meñ
ham  māñgte  haiñ  pichhle  pahar  kī  duāoñ  meñ
kirneñ  abhī  to  gum  haiñ  ghanerī  ghaTāoñ  meñ
bah  jā.eñgī  ghaTā.eñ  ki  kirneñ  havāoñ  meñ
jannat  ko  duur  duur  to  DhūñDā  gayā  magar
qadmoñ  tale  na  maañ  ke  na  teġhoñ  kī  chhāñv  meñ
ḳhushkī  ke  rahbaroñ  se  to  ye  bhī  na  ho  sakā
kuchh  to  ḳhudā  kā  naam  chalā  nā-ḳhudāoñ  meñ
yā-rab  qafas  hai  yā  ki  chaman  kyā  hai  ye  jahāñ
uljhe  paḌe  haiñ  phuul  kaTīlī  laTāoñ  meñ
dīvāna  mast-hāl  hai  us  ko  ḳhabar  kahāñ
jhāñjhan  paḌī  huī  hai  ki  zanjīr  paañv  meñ
donoñ  ko  apne  des  kī  miTTī  pe  naaz  hai
sāñpoñ  kī  bāñbiyāñ  bhī  haiñ  phūloñ  ke  gaañv  meñ
sab  chal  paḌeñ  jo  ḳhuld  ko  jaatī  ho  koī  raah
gul-mohr  kī  do-rūya  qatāroñ  kī  chhāñv  meñ
ham  shaiḳh  se  ye  kah  ke  sū-e-dair  chal  diye
rakhiyegā  yaad  ham  ko  bhī  apnī  duāoñ  meñ