zinda  rahe  to  ham  ko  na  pahchān  dī  ga.ī
marne  ke  ba.ad  ḳhuub  pazīrā.ī  kī  ga.ī
kyā  kyā  sitam  hue  haiñ  mere  saath  bārhā
dhoke  se  kitnī  baar  mirī  jaan  lī  ga.ī
siine  se  mere  noch  lī  tasvīr-e-yār  bhī
shiryān-e-zindagī  hī  mirī  kaaT  dī  ga.ī
tanhā.iyoñ  meñ  maiñ  terī  yādoñ  ke  saath  thā
mahfil  sajī  to  yādoñ  se  vābastagī  ga.ī
is  lā-davā  maraz  kā  asar  pūchhte  ho  kyā
dil  ne  diyā  na  saath  to  tanhā.ī  bhī  ga.ī
dariyā  masarratoñ  kā  to  ab  suukh  hī  gayā
ḳhūn-e-jigar  piyā  to  mirī  tishnagī  ga.ī
detā  javāb  kyā  maiñ  takallum  kā  yaar  ke
us  kī  nigāh-e-nāz  mire  hoñT  sī  ga.ī
arbāb-e-ilm-o-fan  kī  tavajjoh  huī  to  'shād'
mahfil  meñ  tere  fan  ko  bhī  pahchān  dī  ga.ī