kitne dardoñ meñ davāoñ kī sī tāsīr bhī hai
tan ba-taqdīr hī rah jā ki ye tadbīr bhī hai
sun ke ik ḳhvāb hasīñ mere muabbir ne kahā
ye tirā ḳhvāb tire ḳhvāb kī ta.abīr bhī hai
mustavā apne liye kis ne kahā kaise chunā
isī duniyā meñ himāla bhī hai pāmīr bhī hai
vasl-e-mad.hosh-kunāñ se ġham-e-hijrāñ ḳhush-tar
ki tasavvur meñ hai tū bhī tirī tasvīr bhī hai
shoḳhī-e-husn ne chhoḌī na koī rāh-e-farār
ek hī saañs meñ inzār bhī tabshīr bhī hai
tum ḳhudā ko to nahīñ mānte lekin sāhab
laakh tadbīr karo taak meñ taqdīr bhī hai
dosh-e-sayyād ke tarkash se fazā sahm ga.ī
dekhtā kaun ki tarkash meñ koī tiir bhī hai
ye girah nāḳhun-e-tadbīr se khulne kī nahīñ
phir bhī naumīd na ho nāḳhun-e-shamshīr bhī hai
sulhullāh nahīñ jañg bhī fillāh nahīñ
na.ara-bāzāñ koī shabbar koī shabbīr bhī hai
ab to bas guzrī huī umr basar kartā huuñ
merī tanhā.ī ḳhamoshī bhī hai taqrīr bhī hai
ḳhud-kalāmī bhī na de saath agar muñh se kahūñ
ek andoh jo gahrā bhī hai gambhīr bhī hai
imtihāñ hai ki sazā aur sazā hai jo ye umr
kitnī taqsīr hai yā sach koī taqsīr bhī hai
isī bait-e-nabavī ke fuqarā ham bhī haiñ
ḳhuld bhī jis ke liye āya-e-tat.hīr bhī hai
ham ne bāzār-e-jadīdāñ meñ bahut din DhūñDā
koī 'ġhālib' bhī hai 'iqbāl' bhī hai 'mīr' bhī hai