kitne  dardoñ  meñ  davāoñ  kī  sī  tāsīr  bhī  hai
tan  ba-taqdīr  hī  rah  jā  ki  ye  tadbīr  bhī  hai
sun  ke  ik  ḳhvāb  hasīñ  mere  muabbir  ne  kahā
ye  tirā  ḳhvāb  tire  ḳhvāb  kī  ta.abīr  bhī  hai
mustavā  apne  liye  kis  ne  kahā  kaise  chunā
isī  duniyā  meñ  himāla  bhī  hai  pāmīr  bhī  hai
vasl-e-mad.hosh-kunāñ  se  ġham-e-hijrāñ  ḳhush-tar
ki  tasavvur  meñ  hai  tū  bhī  tirī  tasvīr  bhī  hai
shoḳhī-e-husn  ne  chhoḌī  na  koī  rāh-e-farār
ek  hī  saañs  meñ  inzār  bhī  tabshīr  bhī  hai
tum  ḳhudā  ko  to  nahīñ  mānte  lekin  sāhab
laakh  tadbīr  karo  taak  meñ  taqdīr  bhī  hai
dosh-e-sayyād  ke  tarkash  se  fazā  sahm  ga.ī
dekhtā  kaun  ki  tarkash  meñ  koī  tiir  bhī  hai
ye  girah  nāḳhun-e-tadbīr  se  khulne  kī  nahīñ
phir  bhī  naumīd  na  ho  nāḳhun-e-shamshīr  bhī  hai
sulhullāh  nahīñ  jañg  bhī  fillāh  nahīñ
na.ara-bāzāñ  koī  shabbar  koī  shabbīr  bhī  hai
ab  to  bas  guzrī  huī  umr  basar  kartā  huuñ
merī  tanhā.ī  ḳhamoshī  bhī  hai  taqrīr  bhī  hai
ḳhud-kalāmī  bhī  na  de  saath  agar  muñh  se  kahūñ
ek  andoh  jo  gahrā  bhī  hai  gambhīr  bhī  hai
imtihāñ  hai  ki  sazā  aur  sazā  hai  jo  ye  umr
kitnī  taqsīr  hai  yā  sach  koī  taqsīr  bhī  hai
isī  bait-e-nabavī  ke  fuqarā  ham  bhī  haiñ
ḳhuld  bhī  jis  ke  liye  āya-e-tat.hīr  bhī  hai
ham  ne  bāzār-e-jadīdāñ  meñ  bahut  din  DhūñDā
koī  'ġhālib'  bhī  hai  'iqbāl'  bhī  hai  'mīr'  bhī  hai