malbūs  jab  havā  ne  badan  se  churā  liye
doshīzgān-e-sub.h  ne  chehre  chhupā  liye
ham  ne  to  apne  jism  pe  zaḳhmoñ  ke  ā.īne
har  hādse  kī  yaad  samajh  ke  sajā  liye
mīzān-e-adl  terā  jhukāo  hai  jis  taraf
us  samt  se  diloñ  ne  baḌe  zaḳhm  khā  liye
dīvār  kyā  girī  mire  ḳhasta  makān  kī
logoñ  ne  mere  sehn  meñ  raste  banā  liye
logoñ  kī  chādaroñ  pe  banātī  rahī  vo  phuul
paivand  us  ne  apnī  qabā  meñ  sajā  liye
har  marhale  ke  dosh  pe  tarkash  ko  dekh  kar
maaoñ  ne  apnī  god  meñ  bachche  chhupā  liye