jab se huā hai ishq tire ism-e-zāt kā
āñkhoñ meñ phir rahā hai muraqqa.a najāt kā
mālik hī ke suḳhan meñ talavvun jo pā.iye
kahiye yaqīn lā.iye phir kis kī baat kā
daftar hamārī umr kā dekhoge jab kabhī
fauran use karoge muraqqa.a najāt kā
ulfat meñ mar miTe haiñ to pūchhe hī jā.eñge
ik roz lutf uThā.eñge is vārdāt kā
surḳhī kī ḳhatt-e-shauq meñ hājat jahāñ huī
ḳhūn-e-jigar meñ nok Duboyā davāt kā
mūjid jo nuur kā hai vo merā charāġh hai
parvāna huuñ maiñ anjuman-e-kā.enāt kā
ai sham-e-bazm-e-yār vo parvāna kaun thā
lau meñ tirī ye daaġh hai jis kī vafāt kā
mujh se to lan-tarāniyāñ us ne kabhī na kiiñ
muusī javāb de na sake jis kī baat kā
is be-ḳhudī kā deñge ḳhudā ko vo kyā javāb
dam bharte haiñ jo chand nafas ke hubāb kā
qudsī hue mutī.a vo taa.at bashar ne kī
kul iḳhtiyār haq ne diyā kā.enāt kā
aisā itāb-nāma to dekhā sunā nahīñ
aayā hai kis ke vāste suura barāt kā
zī-rūh mujh ko tū ne kiyā musht-e-ḳhāk se
banda rahūñgā maiñ tire is iltifāt kā
nāchīz huuñ magar maiñ huuñ un kā fasāna-go
qur.ān hamd-nāma hai jin kī sifāt kā
royā hai merā dīda-e-tar kis shahīd ko
mash.hūr ho gayā hai jo chashma furāt kā
aa.e to aa.e ālam-e-arvāh se vahāñ
dam bhar jahāñ nahīñ hai bharosā sabāt kā
dhuum us ke husn kī hai do-ālam meñ ai 'shraf'
ḳhurshīd roz kā hai vo mahtāb raat kā