Agha Hajju Sharaf

teri hawas mein jo dil se puchha nikal ke ghar se kidhar ko chaliye

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
tirī havas meñ jo dil se pūchhā nikal ke ghar se kidhar ko chaliye
taḌap ke bolā jidhar vo nikle shitāb usī rahguzar ko chaliye
na chāhiye kuchh adam ko le kar nikaliye hastī se jaan de kar
safar jo liije rah-e-ḳhudā meñ luTā ke zād-e-safar ko chaliye
azal se us kā hī aasrā hai jo dene vaalā murādoñ kā hai
barā.e-fil-faur umīd-e-dil ko jo chūmne us ke dar ko chaliye
idhar to taqdīr so rahī hai udhar vo nābūd ho rahī hai
visāl kī shab ko ro jo chukiye to rone sham-e-sahar ko chaliye
jo haath ik phuul ko lagā.eñ yaqīñ hai kāñToñ meñ khīñche jaa.eñ
hamāre haq meñ vo hove hanzal jo nosh karne samar ko chaliye
ajiib mushkil hai aah ai dil kaThin hai bīm-o-rajā kī manzil
qadam qadam par ye sochte haiñ kidhar na chaliye kidhar ko chaliye
tirī judā.ī meñ jān-e-ālam kiyā hai donoñ ko ġham ne be-dam
banā.iye jā ke dil kī turbat ki dafn karne jigar ko chaliye
huā hai vo shauq-e-dīd-bāzī ki samjheñ is ko bhī sarfarāzī
bulā.eñ āñkheñ vo phoḌne ko to nazr karne nazar ko chaliye
visāl kī shab guzar ga.ī hai jo aarzū thī vo mar ga.ī hai
hameñ to hichkī lagī huī hai vo fikr meñ haiñ ki ghar ko chaliye
ye qaaf se qaaf tak hai shohrat kareñge vo imtihān-e-vahshat
junūñ kā aalam ye kah rahā hai yahīñ se Takrāte sar ko chaliye
jo sub.h-e-pīrī huī huvaidā sadā adam se huī ye paidā
namāz paḌh ke na ab Thahariye savere kasiye kamar ko chaliye
luTā hai gulshan meñ āshiyāna kahīñ hamārā nahīñ Thikānā
qafas se chhuT kar bhaḌak rahe haiñ ki tinke chunane kidhar ko chaliye
kamī na dard-e-jigar meñ hogī ye ham se aisī ne guftugū kī
davā ko phir DhūñDiyegā pahle talāsh karne asar ko chaliye
hamesha har saañs ne hamārī shab-e-judā.ī meñ aarzū kī
kisī tarah se tire chaman meñ nasīm ho kar sahar ko chaliye
charāġh-e-bazm-e-ḳhudā huā hai ḳhudā ne mahbūb use kahā hai
ye shaam se lau lagī hai dil ko ki dekhne us bashar ko chaliye
hamārā aañsū vo be-bahā hai nigāh-e-hasrat meñ jach rahā hai
mañgā ke ab us pe chaurahe meñ nisār karne guhar ko chaliye
sū-e-falak kiije rū-e-tābāñ ki chaudhvīñ shab pe hai ye nāzāñ
dikhā ke husn-e-shabāb apnā chakor karne qamar ko chaliye
kisī tarah se na hone paa.e hamāre nāloñ kā faash parda
agarche shor-e-fuġhāñ kā apne sharīk karne gajar ko chaliye
'sharaf' jo ham un pe jaan deñge ḳhabar hamārī lahad meñ leñge
hilā ke shāna jalā ke ham ko kaheñge uThiye bhī ghar ko chaliye
Top Urdushayar.com