ishq-e-dahan  meñ  guzrī  hai  kyā  kuchh  na  pūchhiye
nāguftanī  hai  haal  mirā  kuchh  na  pūchhiye
kyā  dard-e-ishq  kā  hai  mazā  kuchh  na  pūchhiye
kahtā  hai  dil  kisī  se  davā  kuchh  na  pūchhiye
mahshar  ke  daġhdaġhe  kā  maiñ  ahvāl  kyā  kahūñ
hañgāma  jo  huā  so  huā  kuchh  na  pūchhiye
jab  pūchhiye  to  pūchhiye  kyā  guzrī  ishq  meñ
ham  se  to  aur  us  ke  sivā  kuchh  na  pūchhiye
kyā  kyā  ye  sabz  baaġh  dikhātī  hai  naza.a  meñ
dam  de  rahī  hai  jo  jo  qazā  kuchh  na  pūchhiye
pūchhā  jo  ham  ne  gor-e-ġharībāñ  kā  jā  ke  haal
aa.ī  ye  turbatoñ  se  sadā  kuchh  na  pūchhiye
qismat  se  pā.iye  jo  kabhī  us  ko  ḳhush-mizāj
kyā  kuchh  na  kahiye  yaar  se  kyā  kuchh  na  pūchhiye
ragḌī  haiñ  eḌiyāñ  to  huī  hai  ye  mustajāb
kis  ājizī  se  kī  hai  duā  kuchh  na  pūchhiye
chhoḌā  jo  murda  jaan  ke  sayyād  ne  mujhe
kyūñkar  uḌā  maiñ  ho  ke  rihā  kuchh  na  pūchhiye
tarsā  kiyā  maiñ  daulat-e-dīdār  ke  liye
qismat  ne  jo  sulūk  kiyā  kuchh  na  pūchhiye
ulfat  kā  naam  le  ke  nazar-band  ho  ga.e
paa.ī  jo  pyaar  kar  ke  sazā  kuchh  na  pūchhiye
kyā  sarguzisht  gor-e-ġharībāñ  kī  maiñ  kahūñ
ahvāl-e-bandagān-e-ḳhudā  kuchh  na  pūchhiye
ḳhushbū  ne  aap  kī  jo  sar-afrāz  use  kiyā
kis  naaz  se  chalī  hai  sabā  kuchh  na  pūchhiye
pūchhā  'sharaf'  ke  marne  kā  un  se  jo  vāqi.a
āñkhoñ  meñ  ashk  bhar  ke  kahā  kuchh  na  pūchhiye