Agha Hajju Sharaf

hum hain ai yar chaDhae hue paimana-e-ishq

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
ham haiñ ai yaar chaḌhā.e hue paimāna-e-ishq
tire matvāle haiñ mash.hūr haiñ mastāna-e-ishq
dushmanoñ meñ bhī rahā rabt-e-mohabbat barsoñ
ḳhush na aayā kasī ma.ashūq ko yārāna-e-ishq
mujh ko jo chaah mohabbat kī hai majnūñ ko kahāñ
us ko lailā hī kā saudā hai maiñ dīvāna-e-ishq
jaan leñge ki vo dil leñge jinheñ chāhā hai
dekhiye karte haiñ kyā aa ke vo jurmāna-e-ishq
jā-ba-jā chāhne vāloñ kā jo majma.a dekhā
kūcha-e-yār ko samjhā maiñ jilau-ḳhāna-e-ishq
sāl-hā-sāl se ḳhush-bāsh jo huuñ sahrā meñ
ālam-e-hū ko samajhtā huuñ maiñ vīrāna-e-ishq
dil pisā chāhtā hai jā ke hinā par us kī
ḳhirman-e-husn huā chāhtā hai dāna-e-ishq
dil kā hai qasd tirī bazm meñ aḌ kar jā.ūñ
kyā hī be-par kī uḌātā hai ye parvāna-e-ishq
har parī-zād kī hai jalva-numā ik tasvīr
shīsha-e-dil hai hamārā ki parī-ḳhāna-e-ishq
dil mirā ḳhaas makāñ hai jo tirī ulfat kā
kahtī hai saarī ḳhudā.ī ise kāshāna-e-ishq
kaun kis kā shab-e-me.arāj meñ hogā ma.ashūq
kī hai kis shoḳh ne ye mahfil-e-shāhāna-e-ishq
tū kare naaz tujhe yaar zamāna chāhe
tā-abad ye rahe ābād tirā ḳhāna-e-ishq
us parī-rū ne jo dekhā mire dil ko sad-chāk
apnī zulfoñ meñ kiyā nām-e-havā shāna-e-ishq
ālam-e-nūr tirī shakl kā parvāna hai
husn kī jaan hai tū aur hai jānāna-e-ishq
sar-ba-kaf ganj-e-shahīdāñ meñ chale jaate haiñ
imtihāñ se nahīñ Darte tire farzāna-e-ishq
naza.a meñ sūra-e-yūsuf koī lillāh paḌhe
dam bhī nikle to marūñ sun ke maiñ afsāna-e-ishq
DabDabā.īñ mirī āñkheñ to vo kyā kahte haiñ
dekho labrez haiñ chhalkeñge ye paimāna-e-ishq
ai 'sharaf' kaun mire dil ke muqābil hogā
ik yahī saarī ḳhudā.ī meñ hai mardāna-e-ishq
Top Urdushayar.com