Agha Hajju Sharaf

tere waste jaan pe khelenge hum ye samai hai dil mein KHuda ki qasam

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
tire vāste jaan pe kheleñge ham ye samā.ī hai dil meñ ḳhudā kī qasam
rah-e-ishq se ab na haTeñge qadam hameñ apne hī sidq-o-safā kī qasam
mire purze agarche uḌā.iyegā to gul-e-zaḳhm se mahkegī ishq kī bū
khiñche teġh tirī to ragaḌ duuñ gulū mujhe tere hī jaur-o-jafā kī qasam
mirā naam jo yaar hai pūchh rahā maiñ batā duuñ tujhe jo laqab hai mirā
mujhe kahte haiñ kushta-e-nāz-o-adā tire ġhamza-e-hosh-rubā kī qasam
lab-e-gor agarche judā.ī meñ huuñ magar ā.ina-e-dil kī safā.ī meñ huuñ
tirā mahv ḳhudā kī ḳhudā.ī meñ huuñ mujhe apne hī ishq-o-vafā kī qasam
kiye tum ne jo zulm vo maiñ ne sahe mirī āñkhoñ se barsoñ hī ashk bahe
koī ġhamza-o-ishva ab uTh na rahe tumheñ apne hī nāz-o-adā kī qasam
shab-e-hijr meñ aañkh jo band huī tirī zulf kī yaad do chand huī
mirī saañs ulajh ke kamand huī mujhe terī hī zulf-e-dotā kī qasam
tirī chaal se hashr bapā jo kiyā tire ḳhauf se haal mirī ye huā
huī jaatī thī ruuh badan meñ fanā mujhe āmad-e-roz-e-jazā kī qasam
mire hāthoñ meñ ḳhuun malo to zarā tumhīñ dekho to rañg dikhātā hai kyā
karo aaj numūd-e-shahīd-e-adā tumheñ shoḳhi-e-rañg-e-hinā kī qasam
kahā lailā ne hai mujhe qais kā ġham mire dil ko hai us ke junūñ kā alam
nahīñ chain judā.ī meñ ab koī dam use vahshī-e-be-sar-o-pā kī qasam
tirī bazm kā misl hī yaar nahīñ ki jināñ meñ ye naqsh-o-nigār nahīñ
kahīñ tere chaman se bahār nahīñ mujhe bāġh-e-iram kī fazā kī qasam
ġham-e-daulat-e-vasl meñ ho ke hazīñ rah-e-ishq-o-vafā meñ haiñ ḳhāk-nashīñ
havas ab hameñ jāh-o-hasham kī nahīñ hameñ tere hī nashv-o-numā kī qasam
ye duā hai qafas meñ barā-e-chaman ki guloñ se ḳhudā na chhuḌā.e chaman
mujhe rakhtī hai zinda havā-e-chaman gul-o-ġhuncha-o-bād-e-sabā kī qasam
tirā shefta huuñ mirī tujh meñ hai jaañ tah-e-teġh na kar mujhe jān-e-jahāñ
mirā ġhusse meñ aa ke miTā na nishāñ tujhe jāh-o-jalāl-e-ḳhudā kī qasam
ye havas hai ki dard-e-jigar meñ marūñ jo masīh bhī aa.e to dam na bharūñ
kabhī tere sivā na ilaaj karūñ mujhe tere hī dast-e-shifā kī qasam
sharaf us ne diye hameñ saikḌoñ dam rahe tīnat saaf se paak hī ham
kahī baat agar to sach hī kahī kabhī jhuuT na bole ḳhudā kī qasam
Top Urdushayar.com