Agha Hajju Sharaf

rang jin ke miT gae hain un mein yar aane ko hai

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
rañg jin ke miT ga.e haiñ un meñ yaar aane ko hai
dhuum hai pazhmurda phūloñ meñ bahār aane ko hai
yaar kūche meñ tire dhūnī ramāne ke liye
ġham-zada hasrat-zada ik ḳhāksār aane ko hai
rahm karnā ab kī merī aañkh khulne kī nahīñ
āḳhirī ġhash mujh ko ai parvardigār aane ko hai
koī dam meñ hashr hogā kuchh ḳhabar bhī hai tumheñ
be-qarārī laatī hai ik be-qarār aane ko hai
bhāge jaate haiñ bagūle kāñptā hai najd-e-qais
ḳhaak uḌī kis kī yahāñ kis kā ġhubār aane ko hai
hosh uḌe jaate haiñ yaaro ruuh hai sahmī huī
said-gāh-e-ishq se kis kā shikār aane ko hai
jān-e-jāñ tū kiijo jāñ-baḳhshī ki tujh ko dekhne
ek be-kas be-ḳhud o be-iḳhtiyār aane ko hai
dard-e-tanhā.ī se chhuḌātā hai aalam naza.a kā
be-qarārī kuuch kartī hai qarār aane ko hai
gul-ruḳhoñ kī bazm meñ jaane ko hai merā ġhubār
peshvā.ī ke liye abr-e-bahār aane ko hai
ab mirī āñkhoñ ko hogā valvala dīdār kā
hasrat in meñ aa chukī hai intizār aane ko hai
hogī ab ārāsta turbat shahīd-e-nāz kī
chādar-e-gul bichhtī hai sham-e-mazār aane ko hai
be-vafā tum bā-vafā maiñ dekhiye hotā hai kyā
ġhaiz meñ aane ko tum ho mujh ko pyaar aane ko hai
ġhuncha-o-gul kar rahī haiñ kyuuñ garebāñ chaak chaak
kaun se rashk-e-chaman kā dil-figār aane ko hai
hijr meñ dam ghuTne ko hai kuuch hai tafrīh kā
saañs rukne ko hai hichkī chand baar aane ko hai
baiThī hai lailā garebāñ phāḌne ke vāste
kis ke majnūñ kā libās-e-tār-tār aane ko hai
ġhash se chauñko aañkh kholo dam na toḌo ai 'sharaf'
shukr kā sajda karo uTh baiTho yaar aane ko hai
Top Urdushayar.com