Agha Hajju Sharaf

hua hai taur-e-barbaadi jo be-dastur pahlu mein

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
huā hai taur-e-barbādī jo be-dastūr pahlū meñ
dil-e-betāb ko rahtā hai nā-manzūr pahlū meñ
ajab dil ko lagī hai lau ajab hai nuur pahlū meñ
kiyā hai ishq ne raushan charāġh-e-tūr pahlū meñ
kahā jo maiñ ne mere dil kī ik tasvīr khiñchvā do
mañgā kar rakh diyā ik shīsha chaknāchūr pahlū meñ
ḳhushī ho ho ke ulfat meñ jo bār-e-ġham uThātā hai
dil-e-shaidā hai yā hai ishq kā mazdūr pahlū meñ
havas hai dil ko tere haath se majrūh hone kī
lagā de ik chhurī ai qātil-e-maġhrūr pahlū meñ
ham-āġhoshī se jab se yaar ne pahlū-tahī kī hai
usī din se huī hai be-kalī māmūr pahlū meñ
tirī tasvīr jab maiñ DhūñDne uThtā huuñ jannat meñ
biThā letī hai minnat kar ke mujh ko huur pahlū meñ
taḌap jaatā hai dil terī judā.ī yaad aatī hai
chamak jaatā hai yā-rab kis parī kā nuur pahlū meñ
tasadduq tujh pe jis dam najd meñ ho jā.egā majnūñ
jagah degā tirā dīvāna-e-maġhfūr pahlū meñ
ḳhadañg-e-nāz kī aamad par aamad is meñ rahtī hai
ye bāb-e-dil-kushā hai yā ki hai nāsūr pahlū meñ
ilāhī mere us ke vo ham-āġhoshī kī sūrat ho
ki jaise dil kī hai pechīdgī mash.hūr pahlū meñ
huā is darja ġhalba us pe ThanDī ThanDī sāñsoñ kā
ki āḳhir dil hamārā ho gayā kāfūr pahlū meñ
na.ī tīr-e-lab-e-ma.ashūq ne kī raḳhna-pardāzī
tasallut to kiyā dil meñ huā nāsūr pahlū meñ
barābar apne baiThe dekhā hai yūsuf ko ruuyā meñ
ḳhudā chāhe to aa baiThe vo rashk-e-hūr pahlū meñ
muslim us ke hone kī 'sharaf' tadbīr batlāo
paḌā hai muddatoñ se shīsha-e-dil chuur pahlū meñ
Top Urdushayar.com