Agha Hajju Sharaf

jo samna bhi kabhi yar-e-KHub-ru se hua

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887

jo sāmnā bhī kabhī yār-e-ḳhūb-rū se huā

zamāne bhar yurish mujh pe chaar se huā

kahā ishāroñ se maiñ ne ki tum pe martā huuñ

jo nutq band mirā un guftugū se huā

kisī ko bhī na havas thī halāl hone

rivāj-e-shauq-e-shahādat mire gulū se huā

jidhar nigāh jalva tirā nazar aayā

kamāl-e-kashf mujhe terī aarzū se huā

khulā na haal kisī par ki kyā mizāj meñ hai

ḳhudā.ī meñ koī vāqif na us ḳhū se huā

ajab ghaḌī se garebāñ phaTā thā majnūñ

tamām umr na vāqif kabhī rafū se huā

baḌe-baḌoñ ko lagāyā na muñh kabhī maiñ ne

vo zarf huuñ ki na vāqif kabhī subū se huā

vo ḳhud bhī kar ga.e tar āñsuoñ se turbat ko

galī meñ yaar madfūn is aabrū se huā

bahār-e-bāġh ko aa.e jo dekhne be-yār

dimāġh aur pareshāñ guloñ se huā

chaḌhā.e gor-e-ġharībāñ pe gul jo us gul ne

chaman bahisht paidā maqām-e-hū se huā

halāl hone ko sayyād se mohabbat

qazā jo aa.ī to mānūs maiñ adū se huā

ḳhudā.ī karne lagā yaar be-niyāzī se

baḌā ġhurūr use merī aarzū se huā

jahāñ se mahfil-e-me.arāj meñ huī talabī

bashar martaba ye us justujū se huā

lagāte haiñ jo sab āñkhoñ se āb-e-zamzam ko

'sharaf' ye faiz chashma mirī vazū se huā

Top Urdushayar.com