uḌ  kar  surāġh-e-kūcha-e-dilbar  lagā.iye
kis  tarah  donoñ  bāzuoñ  meñ  par  lagā.iye
ik  tiir  dil  par  ek  jigar  par  lagā.iye
hissa  lagā.iye  to  barābar  lagā.iye
phūloñ  meñ  topiye  mujhe  nāzuk-dimāġh  huuñ
lillāh  is  lahad  meñ  na  patthar  lagā.iye
jab  bazm-e-yār  meñ  hai  takalluf  rasā.ī  kā
ḳhalvat-sarā-e-ḳhās  meñ  bistar  lagā.iye
har  dam  kiyā  kare  rag-e-jāñ  marhabā  kā  shor
is  nok-jhoñk  se  koī  nashtar  lagā.iye
barsoñ  se  be-qarār  hai  taskīn  ke  liye
jhukiye  zarā  jigar  se  mire  sar  lagā.iye
kyā  bastanī  qafas  kī  ye  bulbul  ko  bhejiye
hisse  meñ  us  ke  phūloñ  kī  chādar  lagā.iye
jā  apne  dil  meñ  dījiye  mujh  sāf-qalb  ko
ā.īne  meñ  shabīh-e-sikandar  lagā.iye
yāvar  nasīb  ho  to  hasīnoñ  ko  chāhiye
dil  un  se  aazmā  ke  muqaddar  lagā.iye
aksar  vo  kahte  haiñ  ki  jo  bosa  talab  kare
is  guftugū  pe  muñh  ise  kyūñkar  lagā.iye
aa.e  dahān-e-zaḳhm  se  āvāz  aur  aur
is  is  adā-o-nāz  se  ḳhanjar  lagā.iye
purze  mire  uḌā.iye  bhejā  hai  maiñ  ne  ḳhat
be-jurm  kyuuñ  kabāb-e-kabūtar  lagā.iye
sūrat  jo  ek  ek  kī  taktā  hai  aa.ina
hasrat  ye  hai  surāġh-e-sikandar  lagā.iye
haiñ  aap  to  tamām  ḳhudā.ī  ke  nāḳhudā
merā  jahāz  bhī  lab-e-kausar  lagā.iye
barham-mizāj  ho  ke  vo  bargasht-agī  kare
daftar  meñ  jis  ke  fard-e-muqaddar  lagā.iye
daulat  jo  mujh  ġharīb  kī  luuTī  hai  aap  ne
kyā  kījiyegā  hissa-e-lashkar  lagā.iye
jatanoñ  kī  jāneñ  liiñ  haiñ  unheñ  ḳhūñ-bahā  mile
puurā  hisāb  dekh  ke  daftar  lagā.iye
us  gul  kī  aa  hī  jā.egī  ḳhushbū  dimāġh  meñ
chaliye  riyāz-e-ishq  meñ  chakkar  lagā.iye
ifshā  kiyā  jo  ishq  to  jhuñjhlā  ke  bole  vo
likhvā  ke  ishtihār  ye  ghar  ghar  lagā.iye
sau  jā  se  dil  phaTā  hai  kalejā  hai  chaak  chaak
paivand  phaaḌ  phaaḌ  ke  chādar  lagā.iye
phir  uTh  ke  tere  haath  se  kaTvā.iye  galā
kyūñ-kar  dobāra  jism  meñ  phir  sar  lagā.iye
saath  is  qadar  haiñ  us  shah-e-ḳhūbāñ  ke  sarfarosh
barsoñ  hisāb  kasrat-e-lashkar  lagā.iye
kahte  haiñ  laḳht-e-dil  ko  vo  bāzār-e-husn  meñ
saudā  ye  mere  urdu  se  bāhar  lagā.iye
mujh  se  lagāvaT  aap  kī  shamshīr  kartī  hai
martā  huuñ  us  pe  is  ko  mire  sar  lagā.iye
sailāb-e-ashk  ne  mire  raste  kiye  haiñ  band
kashtī  mañgā  ke  muttasil-e-dar  lagā.iye
ḳhil.at  shahīd-e-nāz  ko  bhijvāte  haiñ  javāb
kashtī  meñ  pahle  phūloñ  kī  chādar  lagā.iye
pahuñchā  ke  ḳhat  halāl  huā  hai  ye  ai  'sharaf'
āñkhoñ  se  le  ke  ḳhūn-e-kabūtar  lagā.iye