Naqqash Abidi

ham-safar yaad hain uske jo safar KHatm hua

Naqqash Abidi

ham-safar yaad haiñ us ke jo safar ḳhatm huā
jaane kab kaun sī sāzish ho ye Dar ḳhatm huā
be-sabab sab ko hī sabqat ke junūñ ne maarā
aise bikhre haiñ ki rishtoñ kā asar ḳhatm huā
e.atibār uThte hī ye kaisā taġhayyur aayā
dil kā vīrān makāñ rah gayā ghar ḳhatm huā
shāḳh hī shāḳh kī dushman thī samar kyā detā
phūlne-phalne se pahle hī shajar ḳhatm huā
jāntā thā ki mire giit bhī kho jā.eñge
terā mujh se jo ta.alluq thā agar ḳhatm huā
ham to maa.il the ba-har-hāl lahū dene par
ik tirī tarz-e-taġhāful se jigar ḳhatm huā
us ko bas mujh ko Dubone hī kī zid thī shāyad
maiñ jo Duubā to mire saath bhañvar ḳhatm huā
Top Urdushayar.com