bayāñ  ho  kis  tarah  soz-o-alam  kī  dāstāñ  merī
na  sāthī  koī  suntā  hai  na  mīr-e-kārvāñ  merī
mirā  shauq-e-takallum  mujh  ko  kis  mahfil  meñ  le  aayā
yahāñ  to  baat  karne  ko  tarastī  hai  zabāñ  merī
zabāñ  par  sabt  gar  mohr-e-sitamgar  hai  to  kyā  ġham  hai
ki  merī  ḳhāmushī  hī  ban  rahī  hai  ab  zabāñ  merī
mujhe  ai  bāġhbāñ  shikva  ho  kyoñ  qaid-o-salāsil  kā
ki  ab  saare  chaman  kī  dāstāñ  hai  dāstāñ  merī
nishāñ  to  miT  gayā  sayyād  mere  āshiyāne  kā
chaman  meñ  har  taraf  bikhrī  hai  ḳhāk-e-āshiyāñ  merī
kuchh  aisā  soz  pinhāñ  thā  mire  andāz-e-girya  meñ
chaman  vāloñ  ne  mil  kar  luuT  lī  tarz-e-fuġhāñ  merī
jahāñ  meñ  kis  tarah  mujh  ko  sukūn-e-qalb  hāsil  ho
banī  hai  zindagī  hī  jab  sarāpā  imtihāñ  merī
merī  sahrā-navardī  par  na  ho  hairān  ai  hamdam
abhī  hai  ārzū-e-ābla-pā.ī  javāñ  merī
ye  dil  hai  yā  ki  hai  nākām  ummīdoñ  kā  gahvāra
ki  har  ḳhvāhish  hai  hasrat-ḳhez  har  hasrat  javāñ  merī
'sa.īd'  apnā  vatan  har  aan  hī  āñkhoñ  meñ  rahtā  hai
usī  kī  yaad  goyā  ban  ga.ī  hai  jān-e-jāñ  merī