zard  chehroñ  se  nikaltī  raushnī  achchhī  nahīñ
shahr  kī  galiyoñ  meñ  ab  āvārgī  achchhī  nahīñ
zinda  rahnā  hai  to  har  bahrūpiye  ke  saath  chal
makr  kī  tīra-fazā  meñ  sādgī  achchhī  nahīñ
kis  ne  izn-e-qatl  de  kar  sādgī  se  kah  diyā
aadmī  kī  aadmī  se  dushmanī  achchhī  nahīñ
jab  mire  bachche  mire  vāris  haiñ  un  ke  jism  meñ
sochtā  huuñ  hiddat-e-ḳhūñ  kī  kamī  achchhī  nahīñ
gosh-bar-āvāz  haiñ  kamre  kī  dīvāreñ  'sabā'
taḳhliye  meñ  ḳhud  se  achchhī  baat  bhī  achchhī  nahīñ