sahar  huī  to  ḳhayāloñ  ne  mujh  ko  gher  liyā
jab  aa.ī  shab  tire  ḳhvāboñ  ne  mujh  ko  gher  liyā
mire  laboñ  pe  abhī  naam  thā  bahāroñ  kā
hujūm-e-shauq  meñ  ḳhāroñ  ne  mujh  ko  gher  liyā
kabhī  junūñ  ke  zamāne  kabhī  firāq-ruteñ
kahāñ  kahāñ  tirī  yādoñ  ne  mujh  ko  gher  liyā
nikal  ke  aa  to  gayā  gahre  pāniyoñ  se  magar
ka.ī  tarah  ke  sarāboñ  ne  mujh  ko  gher  liyā
ye  jī  meñ  thā  ki  nikal  jā.ūñ  tujh  se  duur  kahīñ
ki  tere  dhyān  kī  bāñhoñ  ne  mujh  ko  gher  liyā
jab  aayā  iid  kā  din  ghar  meñ  bebasī  kī  tarah
to  mere  phuul  se  bachchoñ  ne  mujh  ko  gher  liyā
hujūm-e-rañj  se  kaise  nikal  sake  'bismil'
tirī  talāsh  ke  rishtoñ  ne  mujh  ko  gher  liyā